Emotions

Emotions

मैं बहुत ख़ुश हूँ।
[ Main bahut khush hoon. ]

I am very happy.

मुझे आज बहुत उदासी हो रही है।
[ Mujhe aaj bahut udaasi ho rahi hai. ]

I am feeling very sad today.

मुझे बहुत ग़ुस्सा आ रहा है।
[ Mujhe bahut gussa aa raha hai. ]

I am very angry.

यह देखकर मैं हैरान रह गया!
[ Yeh dekhkar main hairaan reh gaya! ]

I was surprised to see this! (Masc)

मुझे डर लग रहा है।
[ Mujhe darr lag raha hai. ]

I am feeling scared.

मैं थोड़ा कन्फ़्यूज़ हूँ।
[ Main thoda confuse hoon. ]

I am a bit confused.

मुझे आपकी चिंता हो रही है।
[ Mujhe aapki chinta ho rahi hai. ]

I am worried about you.

मुझे भारत से प्यार हो गया है।
[ Mujhe bharat se pyaar ho gaya hai. ]

I have fallen in love with India.

मैं नर्वस महसूस कर रहा हूँ।
[ Main nervous mehsoos kar raha hoon. ]

I am feeling nervous. (Masc)

मुझे आप पर गर्व है।
[ Mujhe aap par garv hai. ]

I am proud of you.